Dr. Allama Muhammad Iqbal is the national poet of Pakistan. He was born on 9th November, 1877. This blog is about the life and poetry of Allama Iqbal. This Blog has the poerty of Iqbal in Urdu, Roman Urdu and English translation.

Tuesday 2 August 2011

Allama Iqbal Jawab-e-Shikwa(Answer) In Urdu / Jawab e Shikwa by Allama Iqbal / Urdu Shayeri By Iqbal /



Jawab-e-Shikwa (answer) by Iqbal


dil se jo baat nikakti he asar rakhti he                     per nahi taqat e perwaz mgar rakhti he
qudsi e asal he rifa'at pe nazar rakhti he                  khak se uthti he gardun pe gzar rakhti he      
ishq th fitna garo sir kash o chalak mera                 asman cheer gye nala e bebak mera
peer a gurdun ne kaha sun k kahin he koi              bolay siaray sir e arsh e bareen he koi
chand kehta tha nahi ahl e zameen he koi               kehkashan kehti thee posheeda yaheen he koi
kuch jo samjha mere shikway ko yu rizwan samjha / mujhe jannat se nikala huwa insan samjha
thee frishton ko b herat k yeh awaz he kia             arsh walon pe b khulta nahi ye raaz he kia
taa sir e arsh b insan tag o taz he kia                      aa gai khak ki chutki ko b perwaz he kia







 

ghafil adaab se ye sukaan e zameen kese hen        shokh o gustakh ye pasti k makeen kese hen
is qadr shokh k ALLAH se b berham he                   tha jo mesjood e Malaik ye wohi Adam he
alim kaif he danai ramooz e km he                             han mgar ijz k israr se na mehram he
naz he taqat e guftar pe insanon ko                               baat krnay ka saleeqa nahi nadanon ko
aye awaz gham angez he afsana tera                                   ashk e betab se labrez he pemana tera
asman geer huwa nara e mastan tera                             kis qadr shokh zuban he dil e dewana tera
shukar shikway ko kia husn e ada se tu ne                 hum shukhn kr dia bandon ko khuda se to ne
hum to maail ba karm hen koi saail he nahi                     raah dikhlayen kisay raahro manzil he nahi
tarbiat aam to he johar qabil he nahi                             jis se tameer ho Adam ki ye wo gul he nahi 
koi qabil ho to hum shaan e kai dete hen                          dhundnay walon ko duniya b nai dete hen










Haath be zoor hen alhad se dil khugar hen                ummati bais e ruswai peghambar hen
but shikn uth gye baqi jo reh gai but gr hen               tha Ibraheem padr aur pisr aazr hen
bada asham nye bada nya tum b nai                        Harm e Kaba nya but b nye tum b nai
wo b din thay yahi maya e raanai tha                       nazish mosam gul laala e sehrai tha
jo Musliman tha ALLAH ka sodai tha                     kbi mehboob tumhara yhi hrjai tha
kisi yakjai se ab ahad e ghulami kr lo                       millat e Ahmad e Mursil ko mqami kr lo
kis qadr tum pe gran subh ki bedari he                    hum se kb pyar he han neend tumhen piyari he
taba azad pe qaid e Ramzan bhari he                      tumhi ke do yahi aain o wfadari he
qom mazhab se he Mazhab jo nahi tum b nahi         jazb bahim jo nahi mehfil e anjum b nahi
jin ko ata nhi dunya me koi fun tum ho                    nahi jis qom ko perwai nasheman tum ho
bijlian jis me hon asuda wo kharmen tum ho           bech khatay hen jo Islaf k madfan tum ho



hon ko naam jo qabron ki tijarat kr k                          kia na becho ge jo mil jayen sanam pthar k
safha e dehar se batil ko mitaya kis ne?                       noo e insan ko ghulami se churata hkis ne?
mere kaabay ko jabeenon se bsaya kis ne?                mere QURAN ko seenon se lgaya kis ne?
thay to aaba wo tumharay he mgar tum kia ho?          haath pe haath dhray muntzir e farda ho
kia kaha behar e Musliman he fqat wada e hoor         shikwa beja b kray koi to lazim he shaoor
adal he fatir e hasti ka azal se dastoor                         Muslim ayen huwa kafir to milay hoor o qasoor
Tum me hooron ka koi chahnay wala he nahi              jalwa e toor to mojood he Musa he nahi
manfa'at aik he is qom ka nuksan be aik                     aik he sub ka NIBI deen b emaan b aik
harm e paak b ALLAH b QURAN b aik                   kuch bari baat thee hotay jo Musliman b aik
firqa bandi he kahin aur kaheen zaatain hen                kia zmanay me pnapnay ki yahi baten hen





kon he tarik e aain e Rasool e Mukhtar                         maslihat wat ki he kis k amal ka miar
kis ki aankhon me smaya he shaar e aghyaar                 ho gai kis ki nagah tarz e salf se bezar
qalb me soz nahi rooh me ihsas nahi                              kuch b pegham e Muhammad ka tumhen pas nahi
ja k hotay hen msajid me saf e ara to ghreeb                 zehmat e roza jo gwara krtan hen to ghreeb
naam leta he agar koi hmara to ghreeb                          parda rkhta he agar koi tumhara to ghreeb
umra nsha e dolat me hen hum se                                  zinda he millat e beza ghurba k dam se
wa'ez qom ki wo pukhta khyali na rahi                         barq tabey na rahi shola mkali na rahi
reh gai rasm e azan rooh e Bilali na rahi                        falsfa reh gya talqeen e ghzali na rahi
masjiden marsia khwan hen k nmazi na rhay                yni wo sahib ausaf e hijazi na rhay
shoor he ho gye dunya se Musliman nabood               hum ye kehtay hen k thay b kaheen Muslim mojood
waza me tum ho nisara to tmaddun me hanood           ye musliman hen jinhen dekh k shermayen yahood
yun to syed b ho mirza b ho afghan b ho                          tum sabhi kuch ho btao Musliman b ho
dane taqreer thee muslim ki sidaqat bebaak                     adal is ka qawi los e mara'at se paak
shajar  fitrat muslim tha haya se numnaak                         tha shujat men wo ik hasti foq ul adrak






khud gudazi num kefiat sehba ysh bod                             khali az khwesh shudn surat meenaish bod
hr musliman rag e batil k liay nshtar tha                            is k aaina hasti me amal johar tha
jo bhrosa tha isay quwat e bazu per tha                          he tumhen mot ka dar is ko khuda ka dar tha
bap ka ilm na betay ko agar azbar ho                            phir pisr qabil e meeras e padr kyun kr ho
hr koi masti mai zoq tan asani he                                   tum Musliman ho ye andaz e Muslimani he
haidery faqr he na dolat e usmani                                   tum ko islaf se kia nisbat rohani he
wo zmanay me moaziz thay Musliman ho kr                  aur tum khwar huay tarik e  quran ho kr
Tum ho aapis me ghzabnak wo aapis me Raheem             tum khta karo khta been wo khta posh o Kareem
chahtay sub hen k hon ooj e surreya pe mukeem              pehlay wesa  koi peda to kray qalb e saleem
takht faghfoor be in ka tha sareer ke be                           yonhi batain hen tum me wo hammiat he b
khudkushi shewa tumhara wo ghyoor o khuddar              tum akhuwat se gurezan wo akhuwat pe nisar
tum ho guftar srapa wo srapa kirdar                                tum trastay ho kali ko wo gulistan e biknar
ab talk yad he qomon ko hikayt in ki                               naqsh he safha e hasti pe sadaqat in ki
misl e anjum ufq e qom pe roshan b huway                      but e hindi ki muhabbat me berhaman b
huway






shok e perwaz me mehjoor e nasheman be huway           be aml thay he jawan deen se bd zan huway
in ko tehzeeb ne her band se azaad kia                            la k Kabay se sanam khanay me abad kia
qais zehmat kash e tenhai sehra na rhay                           shehar ki khai hawa bada e pemana rahay
wo to deewana he basti me rhay ya na rhay                     ye zaruri he hijab e rukh e laila na rhay
gila e jor na ho shikwa e bedad na ho                            ishq azad he kayun husn b azad na ho
ahad e no bark he aatish zan her kharman he                 aiman is se koi sehra na koi gulshan rhay
is nai aag ka aqwam e kuhan eendhan he                       Millat khatm e RUSUL(S.A.W) shola ba perahn he
aaj b ho jo Ibraheem(A.S) ka eeman peda                    aag ker sakti he andaz e gulistan peda
dekh kr rang e chamn ho na preshan mali                      kokab e ghuncha se shakhien hen chmaknay wali
khas o khashak se hota he gulistan khali                        gul ber andaz he khoon e Shuhda ki lali
rang gurdoon ka zra dekh to anabi he                           ye nikaltay huway suraj ki ufk tabi he
Ummatai gulshin e hastai me samr cheeda b hen            aur mehroom e samr b hen khazan deeda b hen
senkron nakhl hen kaheeda b baleeda b hen                 senkron batn chamn me abhi posheeda b hen
nakhl e Islam namoona he baroo mndi ka                     phal he ye senkroon sadion ki chamn bndi ka

Waqt e fursat he kahan kaam abi baqi he                      noor e toheed ka atmam abi baqi he
misl bo qaid  he ghunchay me preshan ho ja                  rakht  brdosh hawai chamnstan ho ja
he tink maya to zrray se byaban ho ja                           naghm e moj se hungama e toofan ho ja
quwat e ishq se her past ko bala kr de                         dehr me isme MUHAMMAD(S.A.W) se ujala kr de
ho na ye phool to bulbul ka trannum b na ho                chamn  dehr me kalion ka tbassum b na ho
ye na saqi ho to phir may be na ho khum b na ho         bazm e toheed be dunya me na ho tum b na ho
khaima e aflak ka istada isi naam se he                        nabz e hasti tapish amada isi naam se he
dasht me daman e kohsaar me medan me he               behar me, moj ki aagosh me toofan me he
cheen k shehr Marrakesh k byaban me he                  aur posheeda Musliman k eeman me he
chashm e aqwam ye nzara abd tk dekhay                   rifa'at e shan " ..................." dekhay
paak he gard e watan se sr e damaan tera                     tu wo Yousuf he her Misr he kina'an tera
qafla ho na skay ga kbi weeran tera                              ghair ik bang e dra kuch nahi saman tera
nakhl shama asti wa dr shola dod resha e tu                  aaqbat soz bod saya e andesha e tu





tu na mit jye ga Iran k mit janay se                                nsha e may ko  taaluk nahi paimanay se
he ayan urish e tatar k afsanay se                                  pasban mil gye Kabay ko sanam khanay se
kashti e haq ka zmanay me sahara tu he                        asr e no raat he, dhundla sa sitara tu he
he jo hungame bpa urish e belghari ka                          ghafilon k liay pegham he bedaari ka
tu smajhta he ye saman he dil azari ka                          imtihaan he tere eesar ka khuddari ka      
kyun hrasan he saheel fars e a'ada se                           noor e haq bujh n skay ka nafs e a'ada se
chashm e aqwam se mkhfi he haqeeqat teri                 he abhi mehfil e hasti zrurat teri
zinda rakhti he zmanay ko hrarat teri                           kokab qismat imkaan he khilafat teri

mardm e chashm zameen yani wo kali dunya                   wo tumharay shohda palnay wali dunya
garmi mehr ki perwarda hilali dunya                               ishq walay  jisay  kehtay  hen  Bilali   dunya
tapish andoz he is naam se paaray ki terha                     ghota zan noor he aankh k taaray ki terha
aqal he teri sipr,  Ishq he shamsheer teri                         meray dervesh khilafat he jahangir teri
masvi ALLAH k liay aag he takbeer teri                        tu Musliman ho to taqdeer he tadbeer teri
Ki Muhammad(S.A.W) se wafa tu ne to hum tere hen   Ye jahan cheez he kia Loh o Qalam tere hen
SAQI


65 comments:

Anonymous said...

superb.
the most beautiful poetry of any era

Anonymous said...

He is great .mindblowing

Anonymous said...

na woh jazba hy na kisi me dam hy wah iqbal wah

Anonymous said...

waooooo kash aj hum un ki kahe howe bato ko samjh k apny mulk ko bacha saky

Anonymous said...

kia kamal kar diya hai allam iqbal sb ne jo akhri bat keh di bas us k bad kuch bhi nahi ha sb kuch wahan khatam ho jata ha

Anonymous said...

iqbal ki shairy jis dor ke bhi muslman parhun unko asa laga ga ke aj ke dor ka lia allama iqbal na likha hy.aj tak iqbal jasa shair pada nhi ho saka.
iqbal na shikwa jab likha tha to molwey iqbal ka hilaf wo gay tha.aur jab allama iqbal na jawab-e-shikwa likha tha to fatwa laga dia tha.aur aj ka mulana apny taqrirun mein iqbal ka shair use karty hein

Anonymous said...

really affectionative poetry of Iqbal... he as surely a superb poet.. mind blowing and fantastic..

Unknown said...

Malik Naveed
Allama ak behtareen rahnuma the jin ki poetry hamen ak rasta dikhati ha, development ore prosperity ka

Anonymous said...

yap

Anonymous said...

nice

Anonymous said...

ITS NOT JUST A POETRY ITS THE SOLUTION OF THE OUR PROBLEMSIF U CANNOT READ UNDER STAND THE WHOLE POETRY THEN JUST READ LAST STANZA
KI MUHAMMAD (S.A.W) SE WAFFA TU NY TO HUM TERY HAI
YE JAHAN CHEEZ HAI KYA LOHE QALAM TERY HAI

Saba Sabir said...

I m writing my journal on Iqbal as post colonial poet in comparison with Frantz Fanon for my M.phil.I got a lot of related material from this platform.thnx

Saba Sabir said...

i'm writing a journal for my m.phil in English on Iqbal as post-colonial poet and i got a great help from here.thnx

Unknown said...

he is a great man. we should seek guidance from him and from his poetry

Unknown said...

(y)

Anonymous said...

aalah

Unknown said...

very amazing topic

Anonymous said...

plz tell me some sights on which i can get IQBAL's poetry on critism of western culture...

Anonymous said...

The great poet in all over the history of Islam. We willnot find such a poet in future.it's true that
Roegi narges haAroon saal phir
Bari mushkil se beda hota hai jaman me detawar beda............

Anonymous said...

Is it complete or not??

AHMED said...

Absolutely right

AHMED said...

This poem is complete.

Umair Ahmed Khan said...

i wish the man like him

Unknown said...

I like this blog and also recommended below blog

http://spiritual-reality-pakistan.blogspot.ae/p/home.html

Unknown said...

Assalamualaikum,

Bachpan se ye 2 misre sunta tha aur samjhta tha ke ye Dua hai aur kabhi kabhi dua me shamil karta tha,

3 hafte pehle bait ke sharf se malaamal hua, phir talimat ke dauran aisa laga, ke ye to Apne Rab se Shikhwa hai,

Bas us hi ke zer-e-nazar apne andaz me (kyon ke mai na Shayer ho na Shayeri ke adab se waqif aur na faseeh-o-baleegh ho) bas jo dil me aaya likh diya.

Allah aur us Ka Rasool janta hai, ke ye likhne se pehle mujhe Khat'an Ilm Nahi Tha ke Allama ne Kuch Shikhwa aur Jawab-e-Shikwa ke Unwaan se aisa pyara samandar undeldiya, Bas mai to apni dil ke tadap likh raha tha apne Blog

http://tazkiya-e-nafs.blogspot.in/2015/09/shikhwa-aur-jawab-e-shikhwa.html

Bas yehi tadap aap se share karraha ho, mulaheza farmaye aur Islah bhi kijeye.

Shikhwa: (Allama Iqbal ke Ashaar Se)

Chamak Tujh se pa te hai, Sab Pa ne wale
Mera Dil bhi chamka de, Chamka ne wale

Jawab-e-Shikhwa: (Ye Mera Jawab me se kuch pesh karraha ho)

Sab kuch mujh se pa te hai, "Tinka" maang ne wale
Tu "Tinka" hi maang le, Ae Chah ne wale

Mushriq ko Diya hai, Munafiq ko diya hai
Abhi bhi hai Sonch ta, Kya Tujhe bhi diya hai?

Nabiyon ne jo maanga tha, wo tujh ko diya hai
Abhi bhi hai pooch ta, Tujhe kya diya hai?

Duniya ki qimat, "Par-e-Machhar" se kam hai
Mustafa (ﷺ) ko diya hai, kya ye kam diya hai?

Jabar (Force) per Ho Qadir, Raham hi ho karte
Na To Mujh se Darte, Na Hi Shukr Karte

Shukar Jo Tum Kardo, Nematon Ko Bada'oo
Sabar Jo To Kardo, Main Khudh Sath Ho Jaa'oo

Qayamat ke din Dikhaou, tume Raham-e-Khahhar
Ab hi se jo kehdo, Salam tum per Sarkar (ﷺ)

(Maqta Arz hai)

Kaunsi Namaz hai? Kahan ka Amal hai?
Sirf Sadqa de raha hai, "Mustafa" (ﷺ) ka ye Ghaffar

Zara dil se kehde, Salamun Alaika
Pur Yaqeen Ho ke Kehde, Salamun Alaika

Anonymous said...

very nice the poetry of iqbal
na kar ishaq is duniya ma ishaq karna
ha to kar khuda sa ishaq

Unknown said...

Dr Iqbal is great poet

Abdul Rauf said...

islamic sawal jawab in urdu pdf allows you to download.
http://www.dislamicbooks.com/2015/10/download-aala-hazrat-se-sawal-jawab-by.html

Anonymous said...

How can they remove complete asher

HUMJO JO JEETE THY JANGO KI MUSIBAT KE LIYE
AUR MARTE THY TERE NAAM KI AZMAT KE LIYE
THI NA KUCH TEYKH-ZANI APNI HUKUMAT KE LIYE
SARBAFAK PHIRTY THY KYA DAHER MAIN DOULAT KE LIYE
QAUM JO APNE ZARO-MALO JAHAAN PE MARTI
BUTFAROSHI KE AYWAZ BUTFAROSHI KYON KARTI

Anonymous said...

Mere bhai ye shikwa hai.. Yaha upr jawab e shikwa ki bat ho rhi

Unknown said...

Sallam ho tujh par iqbal allah tujh janat e firdus atta farmaye
Aameen

Sajid खान said...

Ki Muhammad(S.A.W) se wafa tu ne to hum tere hen, Ye jahan cheez he kia Loh o Qalam tere hen

Unknown said...

This is great unforunate that we consider Sir Dr. Iqbal a poet. Considering him as a poet is definitely a disrespect and dis grace to him. He was far far away to be a poet. As according to him , he was " mahram e raz e duroon e mèykhana". Medium he selected was poetry, as people were able to understand and absorbs that medium. His words definitely are not poetry, they are some thing different, for people who can under stand and have vision.

Anonymous said...

Thi bdi baat hote jo musalman bhi aik ?

Anonymous said...

Thi bdi baat hote jo Mussalman bhi aik ?

Anonymous said...

Ma Shaa Allah........ .....Ki Muhammad(SAW) saay wafa tu nay tu ham teray hein ...........yeh jahan cheez ha kia loh o Qalam teray hein

Unknown said...

پڑھنا اور داد دینا بھی ٹھیک سہی
مگر اب وقت ہم سے پڑھنے اور داد دینے سے آگے کا سوال کر رہا ہے۔۔۔
اور اگر اب بھی ہم نے آنکھ نہ کھولی تو۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

Unknown said...

HARAM PAK bhi ALLAH bhi QURAN bhi 1

Thi bari baat jo hoty musalman bhi 1

Unknown said...

V.🍀nice.🍃poetry...🌷love 🌷u🌷

Unknown said...

Ki Muhammad SAW sa wafa tunay to hm teray hai
Ya jahan cheezha kya loh o kalm teray hai

Pak Poetry 24 said...

nice effort man https://pak-poetry.com/allama-iqbal/

Pak Poetry 24 said...

ghj

Unknown said...

please shikwa ki tashreeh bhi send kardin

e said...

please shikwa ki bhi tashreeh send kardain

ALSA DARS said...

hee frishton ko b herat k yeh awaz he kia, arsh walon pe b khulta nahi ye raaz he kia
taa sir e arsh b insan tag o taz he kia, AA GAI KHAK KI CHUTKI KO BHI PARWAZ HAI KYA

Afran said...

KIYA BAAT HAI IQBAL KI BHI WAH WAH! SHAYRI KE ANDAZ MAI LOJEBEEN BAATEN ARTSA KERTAY REHTAY YA ALLAH UNKI MAGHFRAT FARMA!

Anonymous said...

یہ مسلمان ہیں جنہیں دیکھ کر شرمائیں یہود

Anna said...

If you’re looking for a great essay service then you should check out DigitalEssay.net. A friend of mine asked them to write a whole dissertation for him and he said it turned out great! Afterwards I also ordered an essay from them and I was very happy with the work I got too.

M Mubasher said...

nice

Unknown said...

Fantastic

Unknown said...

Ha\r\a\\\m\\\\\\\\\\\\\\\\\\\
\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\

Unknown said...

\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\\

Aijaz Shaheen Baloch said...

so impressive

Aijaz Shaheen Baloch said...

it is very helepfull

inamZtheitsu said...

inamZtheitsu Cassandra Collins https://marketplace.visualstudio.com/items?itemName=exlibgese.Mighty-Switch-Force--Academy-gratuita
chaisamara

Vtracturcler_wo1999 said...

Vtracturcler_wo1999 Damon Morton https://wakelet.com/@tarretasit113
queneteman

Anonymous said...

Rab e zidni Ilma

Anonymous said...

Iqbal you are a true muslim no doubt , Shair e Mashriq Zindabad

Anonymous said...

Had🖤

Shah Saud said...

Wah🖤

Anonymous said...

subhanallah

Rehman khan said...

wah bht khub... Great poet and Great poetry

Anonymous said...

VERY NICE

Anonymous said...

10 sep 2023 love this

Anonymous said...

Amazing poetry

Post a Comment